Monday, May 31, 2010

gul gulshan gulfam

Hawaon ki sheher mein kami kahan
Ye basi har sanson mein
Mein pita hun to sach kehta hun
Varna dum nahi alfazon mein

Wo ho rahe behosh hain
Jaise chod aaye kahin hosh hain
Jab ghar ka aalam maykhane sa ho
To lafz kaun sa hosh hai

Kabhi dhundli ratoon mein
badal sehlate they
aaj badal chute hain to ye
ro ro kar jhad jate hain

kabhi is sheher mein ek makan tha apna
makan mein ek kirayedar tha apna
woh kirayedar hai aajkal gayab
shayad badal diya hai usne jahan apna

bas ek hi khayal hai aajkal zinda
ud jaon kahin banker parinda
ab to galtiyan bhi sare aam hain
bacha ab na gul na gulshan na gulfam hai

1 comment: